Sunday, March 9, 2014

Sahir Ludhianvi- Main Pal Do Pal Ka Shayir Hon



Na main tumse koyee umeed rakhoon dil nawazee ki
Na tum meri taraf dekho galat-andaz nazron mein
Na zahir ho tumharei kashmkash ka raaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaye meri baatoon mein

Tarruf rog ho jaye toh usko bhulna behtar
Talluk bojh ban jaye toh usko todna achchha
Woh afsana jise anjam tak lana naa ho mumkin
Usey ek khubsurat mod dekar chhodna achchha
Chalo ik bar phir se ajnabi ban jaye hum do

-------------------------

Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai
Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat Kya Hai?
Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat Kya Hai?
Maine Kyon Pyar Kiya, tumne na Kyon Pyaar Kiya?
In Pareshan Savalat Ki Keemat Kya Hai?
Tum Jo Yeh Bhi Na Bataao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hain, Maine Toh Mohabbat Ki Hai.

-------------------------

Hoo bahoo kheinchega lekin, ishq ki tasveer kaun?

Uth gaya nawak fagan, marega dil par teer kaun?

--------------------------

Umr ka rishta jodney wale

Apni nazar mein deewane hain

----------------------------

Aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne use baazaar diya
Jab ji chaahaa kuchalaa masalaa, jab ji chaahaa dutkaar diya

Tulati hai kahin dinaaron mein, bikati hai kahin baazaaron mein
Nangi nachavaai jaati hai, ayyaashon ke darabaaron mein
          Ye woh beizzat chiz hai jo, bant jaati hai izzatadaaron mein.......
Jin hothon ne inko pyaar kiyaa, un hothon kaa vyaapaar kiya
Jis kokh mein inakaa jism dhalaa, us kokh kaa kaarobaar kiya
Jis tan se uggey kopal ban kar, us tann ko zalil-o-khwaar kiya..
Sansaar ki har ek besharmi, gurbat ki god mein palati hai
Chakalon mein hi aa ke rukati hai, faakon mein jo raah nikalati hai

Mardon ki havas hai jo aksar, aurat ke paap mein dhalati hai

--------------------------

Suna Hai Har Javaan Patthar Ke Dil Mein Aag Hoti Hai 
Magar Jab Tak Na Chhedo, Sharm Ke Parde Mein Soti Hai 
Ye Socha Hai Ki Dil Ki Baat Usske Roobaroo Keh De 
Nateeja Kuch Bhi Nikale Aaj Apni Aarazu Keh De 
Har Ek Bejaan Taqalluf Se Bagaavat Ka Iraada Hai 
Kisi Patthar Ki Muurat Se Mohabbat Ka Irada Hai

Parashtish Ki Tamana Hain, Ibaadat Ka Iraada Hai.

-----------------------------

Main Pal Do Pal Ka Shaayar Hon, Pal Do Pal Meri Kahaani Hai
 Pal Do Pal Meri Hasti Hai, Pal Do Pal Meri Jawaani Hai.

-----------------------------

Kisliye jite hain hum, kis ke liye jeete hain?
Baarha aise sawaalat pe rona aaya 
Kaun rota hai kisi aur ki khaatir aye dost?
Sabko apni hi kissi baat pe rona aaya

Kabhi khud pe kabhi halat pe rona aaya 
baat nikli toh har ek baat pe rona aaya

No comments:

Post a Comment