Na main tumse koyee umeed rakhoon
dil nawazee ki
Na tum meri taraf dekho galat-andaz
nazron mein
Na zahir ho tumharei kashmkash ka
raaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaye
meri baatoon mein
Tarruf rog ho jaye toh usko bhulna
behtar
Talluk bojh ban jaye toh usko todna
achchha
Woh afsana jise anjam tak lana naa
ho mumkin
Usey ek khubsurat mod dekar chhodna
achchha
Chalo ik bar phir se ajnabi ban
jaye hum do
-------------------------
Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq
Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat
Ki Hai
Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat
Kya Hai?
Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat
Kya Hai?
Maine Kyon Pyar Kiya, tumne na Kyon
Pyaar Kiya?
In Pareshan Savalat Ki Keemat Kya
Hai?
Tum Jo Yeh Bhi Na Bataao To Yeh Haq
Hai Tumko
Meri Baat Aur Hain, Maine Toh
Mohabbat Ki Hai.
-------------------------
Hoo bahoo kheinchega lekin, ishq ki
tasveer kaun?
Uth gaya nawak fagan, marega dil
par teer kaun?
--------------------------
Umr ka rishta jodney wale
Apni nazar mein deewane hain
----------------------------
Aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne use
baazaar diya
Jab ji chaahaa kuchalaa masalaa, jab ji chaahaa
dutkaar diya
Tulati hai kahin dinaaron mein, bikati hai kahin
baazaaron mein
Nangi nachavaai jaati hai, ayyaashon ke
darabaaron mein
Ye woh beizzat
chiz hai jo, bant jaati hai izzatadaaron mein.......
Jin hothon ne inko pyaar kiyaa, un hothon kaa
vyaapaar kiya
Jis kokh mein inakaa jism dhalaa, us kokh kaa
kaarobaar kiya
Jis tan se uggey kopal ban kar, us tann ko
zalil-o-khwaar kiya..
Sansaar ki har ek besharmi, gurbat ki god mein
palati hai
Chakalon mein hi aa ke rukati hai, faakon mein jo
raah nikalati hai
Mardon ki havas hai jo aksar, aurat ke paap mein
dhalati hai
--------------------------
Suna Hai Har Javaan Patthar Ke Dil
Mein Aag Hoti Hai
Magar Jab Tak Na Chhedo, Sharm Ke
Parde Mein Soti Hai
Ye Socha Hai Ki Dil Ki Baat Usske
Roobaroo Keh De
Nateeja Kuch Bhi Nikale Aaj Apni
Aarazu Keh De
Har Ek Bejaan Taqalluf Se Bagaavat
Ka Iraada Hai
Kisi Patthar Ki Muurat Se Mohabbat
Ka Irada Hai
Parashtish Ki Tamana Hain, Ibaadat
Ka Iraada Hai.
-----------------------------
Main Pal Do Pal Ka Shaayar Hon, Pal
Do Pal Meri Kahaani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai, Pal Do
Pal Meri Jawaani Hai.
-----------------------------
Kisliye jite hain hum, kis ke liye jeete hain?
Baarha aise sawaalat pe rona aaya
Kaun rota hai kisi aur ki khaatir aye dost?
Sabko apni hi kissi baat pe rona aaya
Kabhi khud pe kabhi halat pe rona aaya
baat nikli toh har ek baat pe rona aaya